Mantras सार्वजनिक
[search 0]
अधिक
Download the App!
show episodes
 
Artwork

1
Kahaniyon ka Mantra

MnM Talkies

Unsubscribe
Unsubscribe
मासिक+
 
Kahaniyon Ka Mantra, humare aur aapke zindagi ke panno ke, kuch aisi kahaniyan, jo aapke dilon ko choo jaaye, aapke chehre pe muskaan laaye, jo aapko hasaaye bhi aur rulaye bhi...jo aapko aapke kal, aaj aur kal se milaye bhi. Baniye in kahaniyon ka hissa Mantra ke mantramugdh karne wali awaaz ke saath. Awaaz ka yeh jaadugar aapko lekar jaayega kahaniyon ki aisi duniya mein jahan aap kho jayenge. Toh tayyar ho jaiye kahaniyon ka hissa banne ke liye. Ek MnM Original, 'Kahaniyon Ka Mantra'.
  continue reading
 
मंत्र अधिकांशतः संस्कृत में लिखे होते हैं । जिनके उच्चारण के विषय में शंका बनी रहती है । उस शंका को दूर करने के लिए गुरु कृपा से कुछ मंत्रों का उच्चारण स्पष्ट किया जा रहा है जिससे आपको सही उच्चारण करने में मदद मिलेगी
  continue reading
 
Artwork
 
गुरुवार के दिन साईं भक्त साईंबाबा की कृपा पाने के लिए अनेक पूजा उपाय, स्तुति का पाठ या मंत्रों का जप भी करते हैं। गुरुवार के दिन यदि साईं बाबा के इन मंत्रों का 108 बार जाप किया जाए तो जीवन में खुशियां आती हैं और हर प्रकार के कष्ट और बाधाओं से मुक्ति मिलती है। उनके मंत्र जप से ईर्ष्या, द्वेष, स्वार्थ, कलह आदि सरे बुरे भाव दूर हो जाते है। आइये सुने साई बाबा के विशेष मंत्र को।
  continue reading
 
Artwork
 
ॐ महालक्मी नमो नमः मंत्र के जाप करने से लक्ष्मी माता प्रसन्न होती है और भक्तो पर अपनी कृपा दृष्टि बनाये रखती है। इस मंत्र का अनुवाद है: "ओम। हम श्री महा विष्णु की पत्नी, महान देवी श्री लक्ष्मी का ध्यान करें। वह तेजोमय महा लक्ष्मी देवी हमारे मन को समझ से प्रेरित और प्रकाशित करें।" नियमित रूप से इस मंत्र के पवित्र संस्कृत शब्दों को सुनने से भक्तो को सुख समृदि की प्राप्ति होती है। आइये सुनते है महालक्मी जी के चमत्कारिन मंत्र को।
  continue reading
 
Artwork

1
Ganesh Mantra

Hubhopper

Unsubscribe
Unsubscribe
रोज+
 
गणेश जी के मंत्र का जाप करने से सभी भक्त अपने दुखों से मुक्ति पा सकते है। हिन्दू धार्मिक मान्यता के अनुसार गणेश जी को एक ऐसे देवता के रूप में पूजा जाता है जो अपने भक्तों के सभी दुखों को हर लेते हैं। इसलिए गणेश जी को विघ्नहर्ता यानी की सभी विघ्नों को हरने वाला भी कहा गया है। हिन्दू धर्म को मानने वाले सभी लोग किसी भी शुभ कार्य को शुरु करने से पहले गणेश जी की पूजा और उनके मंत्र का उच्चारण ज़रूर करते हैं।
  continue reading
 
Artwork

1
Om Mantra

Hubhopper

Unsubscribe
Unsubscribe
रोज+
 
सनातन धर्म में ॐ को बहुत ही प्रभावशाली माना गया है। ॐ का उच्चारण करते समय तीन अक्षरों की ध्वनि निकलती है। ये तीन अक्षर क्रमशः अ+उ+म् हैं। इसमें 'अ' वर्ण 'सृष्टि' का घोतक है 'उ' वर्ण 'स्थिति' दर्शाता है जबकि 'म्' 'लय' का सूचक है। इन तीनों अक्षरों में त्रिदेव यानी (ब्रह्मा,विष्णु,महेश) का साक्षात वास माना जाता है। ॐ के जाप को अनिष्टों का समूल नाश करने वाला माना गया है। एहि नहीं, ॐ के उच्चारण से शारीरिक और मानसिक रूप से शांति भी प्राप्त होती है।
  continue reading
 
Artwork

1
Gayatri Mantra

Hubhopper

Unsubscribe
Unsubscribe
रोज+
 
धार्मिक मान्यताओं के अनुसार गायत्री मंत्र का जाप करने से व्यक्ति के अंदर सकारात्मक ऊर्जा का संचार होता है। गायत्री मंत्र का जाप तीन बार किया जा सकता है। पहला समय है सूर्योदय से ठीक पहले, जिसे सूर्योदय के बाद तक करना चाहिए। दूसरा समय है दोपहर का और तीसरा समय है सूर्यास्त से ठीक पहले और सूर्यास्त के बाद तक करना चाहिए। कहते हैं कि गायत्री मंत्र के जाप से दुख और दरिद्रता का नाश होता है, मन शांत और एकाग्र रहता है और मुखमंडल पर चमक आता है।
  continue reading
 
Artwork

1
Baton Hi Baton Mein

Girish S Upadhyay

Unsubscribe
Unsubscribe
मासिक
 
नमस्कार दोस्तो, आपका बहुत बहुत स्वागत है हमारे पॉडकास्ट "Baton Hi Baton Mein"| यहाँ हम बात करेंगे उन तथ्यों पे जो हमारे रोज़मर्रा के जीवन मे उपयोगी है जैसे की सामाजिकता, राजनीति, स्वास्थ्य, इतिहास और कुछ वो बातें जो हमेशा हमारे विचारों मे रहती है| ये बातें इतनी आसानी से कहेंगे जैसे किसी ने "बातों ही बातों" में आपसे कह दी हों| हमारी यहीं कोशिश रहेगी की आप अच्छे से अच्छा सुने|
  continue reading
 
Loading …
show series
 
Baba Ranchhod daas ne kaha tha... ki beta khana khaane ke liye paise nahi lagte, lagti hai to bas sahi timing ke sath sahi uniform! Aaj ki kahani bhi aise hi 3 hostellers ki hai jinhe achhe khaane ka swaad lene ke liye baraati banna pada hai... Bin Bulaaye Baraati !द्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Indore mein rehne wale Guddu Indori yun toh nikle the jeetne ko duniya saari. Magar kaam ka bahot jyada stress lene ke karan ho gayi hai ko unko dil ki bimari. Ab kaise niptega Guddu Indori apni bimari se, janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki ye World Heart Day special kahani – Dil ki baat hai…
  continue reading
 
Kuch na kuch bhulne ki aadat toh har kisi ki hoti hai! Koi exams mein answers likhna bhul jaata hai, toh koi kuch kahin rakh kar bhul jata hai. Usi tarah Hyderabad ke Chappan bhai bhi uska address rakhkar bhul gaye hain, jiski unhone supari li thi. Toh ab kya karenge Chappan Bhai? Janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ki ye World Alzheimer's Da…
  continue reading
 
100 se bhi jyada companies mein interview diya Bholu Engineer ne, magar kahin nahi lagi naukri. Ab kya karega Bholu? Kya kar payega koi jugaad, aur chuda payega Lala ke paas se apne Maa ke kangan. Janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ki ye Engineer’s Day special kahani – Berozgaar Engineer!
  continue reading
 
Nagpur ke Ganesh pandal mein jaa pahucha ek aisa shararti bachcha, jo puchne laga pandit ji se anokhe sawal.. Ab kaise niptenge uss bachche se pandit ji, jaane ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki ye Ganesh Chaturthi special kahani – Vighnaharta Ganesha
  continue reading
 
Satara se Nagpur aa rahe hain Abhimanyu apni team ke sath dahi handi fodne ke liye. Magar unki bus fass gayi hai bhayankar traffic jam mein. Toh ab kya karenge Satara ke Govinda. Kya pahuch payenge time pe ya karenge koi aur chamatkar. Janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ki ye Shri Krishna Janmashtami special episode – Dahi Handi Competition…
  continue reading
 
Nitin ki hai ek chhoti si kapde ki factory. Magar uss chhoti si factory mein Nitin karta hai ek bada hi nek kaam. Usne aise logon ko rakha hai kaam par, jinhe nahi mil raha tha kahin aur kaam. Unke sath kaise Rakhi manayega Nitin, Janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ki ye Raksha Bandhan special kahani – ‘Raksha ka Bandhan’…
  continue reading
 
Bahadur ki lagi hai nayi nayi fauj mein naukri aur pehle hi din mil gayi hai use aisi jagah posting jahan jaana hai behadd khatarnak. Ab kaise milegi himmat Bahadur ko ladne ki? Janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ki ye Independence Day special kahani – Wardi Ki Taaqat!
  continue reading
 
College ke pehle din truth and dare khelte waqt Maddy ko mila.. Dare pad gaya itna bhari, ki ho gayi sabhi ke samne uski kirkiri. Aisa majak udaya Riti ne, ki ho gaya Maddy ka heart-break. Ab kaise lega Maddy usse badla. Janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki self-love wali lovely kahani, ‘I Love Me’…
  continue reading
 
Dhundne ko inner peace jaana chahta hai Vimpy solo trip pe. Par kya itni chhoti si umar mein jaane denge uske parents uske first ever solo trip pe? Ya ghar par hi mil jayega Vimpy ko uska inner peace? Jaane ke liye suniye,Kahaniyon Ka Mantra ki National Parents Day special ye kahani – My Inner Peace
  continue reading
 
Aayush ke school mein transfer hokar naye naye teacheraaye hain teacher Pandey sir. Sir ka alag hi hai padhane ka approach, jisse gadhe se gadha student bhi kar sakta hai exams mein top. Aisa kya jaadu karte hain Pandey sir, janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ka Guru Purnima special episode – ‘Guruji Tussi Great Ho’…
  continue reading
 
Achanak hone wali baarish se bachne ke liye Mohit rojana apne office jata hai public transport ki bus se, aur tez baarish ke karan lag jaata hai ghanto ka traffic jam. Magar uss safar mein Mohit ko milta hai ek aisahumsafar jisse ghanto ka traffic jam bhi Mohit ko lagne lagta hai sunana… Toh kaun Mohit ka humsafar, janiye ke liye suniye,Kahaniyon K…
  continue reading
 
Lajwanti ji chahti hain lena apne ik laute pati seturrant hi divorce. Naa hi unke pati sharab pikar maarte hain, naa hi dahej keliye pareshan karte hain, aur naa hi hai unka koi chakkar kisi dusri kanya ke sath.Toh fir 2 bachche hone ek baad achanak kyu chahiye Lajwanti ji ko divorce? Janne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki yepopulation special…
  continue reading
 
Bachpan se chura chura kar jis bagiche se khaate aaye hain Changu-Mangu aam, achanak uss bagiche mein aa khadi hui hai ek samasya. Toh kaise niptenge iss samasya se Changu-Mangu, aur kaise chukayenge apne aam ka karz, janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ki ye Mango special kahani – Aam Ka Karz
  continue reading
 
Judwa bhai Sonu Monu dhund rahe hain apne Pappa ke liye koi aisa unique Father’s day gift, jisse ho jhat se ho jaye unke Pappa itne jyada impress, ki agar exam ka result thoda 19-20-21-22 bhi ho jaye, toh unhe thappad naa khane pade Toh kya dhund payenge Sonu-Monu aisa koi gift, janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ki ye Father’s Day Special k…
  continue reading
 
Europe ke ek jaane maane, jaanche parkhe, FilmDirector-Producer aaye hain.. India ki sair par.. Aur Bharat ke upar banana chahte hain wo.. dil ko chhoo jaane wali ek Oscar winning film.. Par ho gaye hain wo confuse.. Ki aakhir kaunse Bharat par banayein film? Bharat toh ek nahi, anant hai! Alag alag bhasha, vesh bhoosha, sanskritiyon se bhare Bhara…
  continue reading
 
Aap sabhi ke pyar aur apnepan ke sath, ‘Kahaniyon Ka Mantra’ ne kar liye hain pure 100 episodes. Isiliye aaj ke episode mein bhi aane wala hai 100% maza, kyuki aaj aapke liye MnM Talkies lekar aaya hai kahaniyon ka double dhamaka. Suniye Kahaniyon ka Mantra ka 100th special episode – Assi Nabbe Pure Sau…
  continue reading
 
Bachpan se hi hai Sonu ka sapna Gold medal jeetne ka, jiske liye kar raha tha Sonu bharpur koshish. Magar fir hua ek aisa hadsa ki ho gaya Sonu ka sara sapna chaknachoor. Ab kya kaise karega Sonu come-back, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ki ye ‘International Day of persons with disabilities’ Special episode – Gold jeetna hai…
  continue reading
 
Police Constable Pawar sahab apni duty ke liye hamesha taiyaar rahte the. 26 Novemeber ko bhee woh apne duty pe time se pahunch gaye. Par kya woh ghar pahunch sake us roz apni duty ke baad ya phir rah gayi bass unki yaad? Kahaniyon Ka Mantra mein suniye 26/11 ke Mumbai hamlo mein shaheed hue veeron ko shraddhanajali deti aaj ki kahani: SadRakshanay…
  continue reading
 
Yeh kahani hai sann 1998 ki… Ek aisa gaaon, jahan ke sarpanch, Chautala ko ghar mein toilet lagaane se hai aitraaz; Par jab unhein pata chala ki toilet seat mein hai agla election jeetne ka raaz toh phir kya hua? Jaan’ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra mein aaj: Chini Mitti Ki Kursi.द्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Pune mein rahne wala Vicky, is baar Diwali pe ghar nahi ja pa raha. Isiliye uske mummy papa aa gaye hain uske paas with a surprise. Ab yeh surprise bad hoga ya good…jaan’ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ka Diwali special epsiode: Out Of Town Diwaliद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Saharanpur ke college mein padhne wala Diljeet chahata hai jeetna college ki heartthrob Preeto ka dil…Par face pe beard ki kami se shayad usey mil nahi paayega yeh mauka. Kya Novemeber ka maheene mein hoga kuchh different aur Preeto ban paayegi Diljeet ki girlfriend? Jaan’ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra mein yeh kahaani- No Shave November…
  continue reading
 
Jeevan Beema ke office mein kaam karne wale Rajesh ko kaam karte karte itna late ho gaya, ki baj gaye raat ke 12. Aur 12 bajte hi baj gaye Rajesh ke bhi 12, kyuki office mein aa gaya ek bhoooootttt… Kya utpaat machayega wo bhoot, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ke ye episode – Bhago Bhoot Aaya…
  continue reading
 
Sunflower society ke members mana rahe hain pehli bar apni society mein Dussehra, magar kaun karega Raja Ram bankar Ravaan ka dahan, iss baat par society mein hi chhid gayi hai jung. Toh kya karenge society wale, aur aakhir kaun karega Ravaan ka dahan, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ki ye Dussehra special story - Asli Ravaan Kaun?…
  continue reading
 
Subrato Chatterjee welcomes a Canadian citizen Lara in Kolkata. They had met online and she's on her first visit to India specially for Durga Puja festivities. Through the course of these festivities Subrato is conscious of protecting her. On the last day,some hooligans try to eve-tease her but Lara being an avatar of Maa Durga teaches them a fitti…
  continue reading
 
You Only Live Once, ye manna hai YOLO, yani ki Yogesh Lokhande ka, isiliye karna chahta hai life ke har pal ko celebrate, magar chadar se bade hain YoLo ke pair aur salary se kahin jyada hai EMI. Ab kya karega Yo-Lo. Jaane ke liye suniya Kahaniyon Ka Mantra ka ye episode – YOLOद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Nothing is more empowering than facing the fear that controls you.. Do the Thing you fear & keep on doing it.. that is the quickest & surest way ever yet discovered to conquer fear, stop self doubting, You got to believe yourself, that's how you will discover your inner abilities. Nothing can stop you because you have miles to go on this journey ca…
  continue reading
 
Vikki ne kiya apne pyaar ko propose, lekin de diya uss ladki uske gaal pe ek heavy dose. Uss ladki ko impress karne ke liye khane peene ke shaukeen Vikki ne chuna aandolan ka rasta aur kar diya elaan bhookh hadtal karne ka. Lekin kya safal hoga Vikki ka ye paitra, janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Manta ka ye episode – Andolan Karna Hai…
  continue reading
 
Baljit urf Balla hai cricket ka bhayanak shaukeen, magar jis saloon mein wo kaatta hai baal, uske malik ko ek aankh naa bhata cricket, kyuki match chalate hi bekar mein hi lag jati hai logon ki bhid. Toh kaise badlega Balla, iss aapda ko avsar mein, janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ka ye episode – ‘Cricket Ka Bukhaar’…
  continue reading
 
Jabhi bhi dhol tashe ki awaaz aati hai toh pure sheher ko pata chal jata hai ke koun aane wala hai. Vighnaharta jo taklifon ko durr bhagata hai, Devon ka Dev jo bhakton ko khub lubhata hai, ganpati bappa jo bhakton ke dilon pe raaj karta hai.. aaj ki kahani unhi bhakton ki hai aur unn bhakton ke bhakti ki. Aaj ki kahani hai Mumbai ke ek chote se ar…
  continue reading
 
Zindagi ke Safar mein kabhi-kabhi aise mod aa jaate hain ki jeena chhod dena hi best option lagta hai. Par aisa hota nahi hai. Kyunki asliyat mein, zindagi ko khulkar jeena hi hota hai best option. Aur Kanpur mein rahne wale Amar Shukla aaj yahi seekhne wale hain. Kaise? Yeh jaan’ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki World Suicide Prevention Day…
  continue reading
 
Teachers day ke pe nanha Viaan khona nahi chahta ye mauka. Chahta hai wo kuch aisa karna ki use bhi mil jaye koi taufa. Lekin aisa kya karega Viaan, Janne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ka ye Teacher’s Day special episode – Nanhe Masterjiद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Navin apni behen Sonia ki raksha ki kasam, Par unki behen Sonia ko hi karna padta hai unto bachane ka jatan. Kaun hai kiska protector- among this Bhai and behen? Listen to know in today’s story of Kahaniyon Ka Mantra : Bhai, Behen Aur Kasam !द्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Baar baar din yeh aaye wala din yaani ki birthday jab bhee aata hai, bahut saare yaadgaar moments de jaata hai. Aur jab yeh birthday aapka 18th birthday ho tab toh yeh aur bhee khaas hona chahiye...nahi? Kitna khaas saabit hua yeh adult birthday humare hero ke liye...Jaan'ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki aaj ki kahani: Happy Birthday To Me…
  continue reading
 
Ados Pados mein rehne wale Azad Miya aur Bharat Laal ke gharo ke beech hai choti ki vivadit zameen, jismein dono hi karna chahte hain kabja. Aakhir kise milegi wo zameen, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ka ye episode – Azad Bharat ki Kahaniद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Bobby ko best friend Sunny ne de diya crush ko Love Letter likhne ka idea. Magar sick leave ki application se jyada toh aaj tak kuch likha naa tha Bobby ne. Ab kya karega Bobby, jaane ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ka ye episode – My Best Friend.द्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Sar se lekar paon tak barish mein bhiga akela Mohit sadak par khada mang raha hai lift. Magar kya use milegi lift, ya barish ke liye uski nafrat aur badh jayegi. Janne ke liye suniye ‘Kahaniyon Ka Mantra’ ki ye Monsoon special love story – Barish ka punchnamaद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Mausam vibhag mein kaam karne wale Suraj ko pata chala ek bahut hi bade tufaan ke bare mein. Shahar mein sabhi ko bataya usne magar kisi ne use seriously liya hi nahi. Ab sabhi ko kaise bachayega Suraj uss tufaan se janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ka ye episode – “Andhi Aai Hai”द्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Gaon mein rehne wala Badku, Mukhya Mantri banne ke liye jaana chahta hai shahar. Magar tez barish kar deti hai uske irado ko beasar. Kya hoga uske safar ka manjar, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ka ye episode – Mukhya Mantri Banna haiद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Subah sokar utho, aur agar barish ho rahi ho, toh office jana toh dur, bed se uthne ka bhi dil nahi karta Pappu ne bhi dil ki suni aur nahi gaya office. Magar fir ghar par kya hua uske sath, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ka ye episode – Barish ka Bahanaद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Baarish ke mausam mein dukhi hote hain wo bechare jo bhig kar bimar pad jate hain. Aur khush hote hain kuch beimaan doctors, jinke clinic mein patients ki line lag jati hai. Magar Dr. Popat beimaan hain ya imaandar, janne ke liye suniye, Kahaniyon ka Mantra ka Doctor’s day special episode – Beimaan Doctor?…
  continue reading
 
Ahmedabad ka bada wedding planner Mivaan, aur divorce lawyer Komal hain shadi ke shakht khilaf. Hazaro rishto ko reject karne ke baad bhi aakhir kyu kar lete hain ek dusre se jhat se shadi, Jaan'ne ke liye suniye, Kahaniyon Ka Mantra ka ye episode - Ram Milaye Jodi, Ek Andha Ek Kodiद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Aa gaya hai Shadiyon ka season, aur sath hi aa gaya hai shadi mein daba ke khane ka season. Magar kya hoga, agar Fufaji ke khane se pehle hi khatam ho jayega khana! Janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ke naraj fufaji ki ye kahani – Frustrated Fufajiद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Yeh garmi ki chhutiyaan, mangoes ki khushboo aur bin bulaaye rishtedaaro ki guftagoo lekar aaati hai. Kacche, pakke, chote, mote, khatte, meethe aam khaane aur khilaane ki ab race lag jayegi. Khayenge isse kayi bulae- bin bulae mehmaan mil baat kar, kuch choos kar, toh kuch kaat kar. Lekin kya kisine kabhi yeh socha ya, ki apne King of Fruits ko ka…
  continue reading
 
Banaras ke Bansi Kaka ka hai bada dil aur ek chota kulfi ka thela. Magar unke thele ke thik samne khul gaya ek fully decorated air-conditioned ice-cream parlour. Toh kya hoga aage, kya Bansi Kaka apna thela hatayenge, ya customers dikha denge uss ice-cream parlour ko thenga, jaane ke liye suniya, Kahaniyon Ka Mantra ki nayi kahani – Kulfi ka thela.…
  continue reading
 
College jaane ke liye Chintu kharidna chahta hai ek nayi scooter, magar uski single Mom nahi badhana chahti koi expenditure. Toh kya Chintu jeetega ye ladai, ya direct jeet lega aap sabhi ka dil, jaane ke suniye Kahaniyon Ka Mantra ki aaj ki ye kahani – Maa ki Silaai machineद्वारा MnM Talkies
  continue reading
 
Loading …

त्वरित संदर्भ मार्गदर्शिका

अन्वेषण करते समय इस शो को सुनें
प्ले