Unse pehli mulaqaat, ya unki kahi hui woh akhiri baat, Pyar ka wo adhura kissa, ishq ki ravaani hai, Pyar ke dhaage mein piroyi hui dil ki baatein, jo MNM Talkies ko sunani hai, Bas wahi to... Phir Teri Kahani hai! ‘Phir Teri Kahani: A Love Story Podcast,’ an MnM Original series of heartfelt and relatable tales of love.
Kahaniyon Ka Mantra, humare aur aapke zindagi ke panno ke, kuch aisi kahaniyan, jo aapke dilon ko choo jaaye, aapke chehre pe muskaan laaye, jo aapko hasaaye bhi aur rulaye bhi...jo aapko aapke kal, aaj aur kal se milaye bhi. Baniye in kahaniyon ka hissa Mantra ke mantramugdh karne wali awaaz ke saath. Awaaz ka yeh jaadugar aapko lekar jaayega kahaniyon ki aisi duniya mein jahan aap kho jayenge. Toh tayyar ho jaiye kahaniyon ka hissa banne ke liye. Ek MnM Original, 'Kahaniyon Ka Mantra'. Mil ...
Apne insaano ki Shadiyon ke baren me to kai bar suna hoga, par janwaron ki Shadi ke bare me sunana thoda weird lag sakta hai, Kahaniyon Ka Mantra me suniye do husky doggy, Advit aur Pinky ke Shadi ki Kahani Husky Ki Baarat.द्वारा MnM Talkies
Jab koi sath chalne ke liye aapke peeche pada ho na,to zaroori sa ho jata hai humesha ke liye uske sath ho jaana...Phir Teri Kahani mein suniye aaj "Ho Gaye Humsafar"द्वारा MnM Talkies
26 January ko asman me lahrata tiranga dekhna, chorus me National anthem gana aur swadisht special laddu khana… kya moment hota hai na ! Par yaha Munna aur Dadu ke nazar me laddu ko lekar kya alag nazariye hai, janane ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra me Laddoo Aaj Kalद्वारा MnM Talkies
Kehte hain duniya bahut chhoti hai, Saalon pehle jinke badle the raaste, Aaj mile hain phir usi jagah, jahan jiye the pal ek dusre ke vaaste. Kachchi umra mein jahan hua tha aana, uss Kasaul ki sardi mein aaj bunenge phir garma-garam baaton ka taana baana.. Suniye Phir Teri Kahaani mein aaj "Niravana"…
Iss kadkadati thand mein Montu Bhaiya karna chahte hai apne pyar ka izhar, Dekhna hai ki kya Mohini, Montu ka proposal karegi swikaar... Janane ke liye Suniye, Kahaniyon ka Mantra mein 'Montu The Winterman'.द्वारा MnM Talkies
Cinema ke do dewaane Mil rahe hain aaj Cinema ke hi bahaane Di ho jaise zindagi ne Fir ek chhoti si treat Kya fir baithenge dono Lekar ke Corner Seat? Suniye Phir Teri Kahaaniद्वारा MnM Talkies
Kehte hain agar aapke pass Car na ho, toh aap beCar hain… Aji aisa hum nahi kehte, ye kehna hai Sundar Lal ka. Middle-class aadmi car kharidne ke liye kya-kya papad belta hai. Suniye Kahaniyon ka Mantra ke iss episode meinद्वारा MnM Talkies
Naman Aur Dimpy ka pyar, kya phir ho paega gulzar? Saalon pehle ki baat, yaad dilaati ye mulaqaat... Milenge, rukenge, hasengeaur karenge puraani baat... Kahenge ek dusre ko alwida, chhupa kar dil ke jazbaat. Phir Teri Kahaani mein Suniye aaj ki kahaani 'Milte Hain Phir Kabhi'द्वारा MnM Talkies
Kehte hai ki jo bhi hum sal ke pahle din karte hai wahi poore sal karte hai. Apne purane dost happy ko new year resolution ki kasam dilane me lage Lucky bhaiya aakhir kaun sa resolution dilate hai jaanne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra mein What's Your Resolution.द्वारा MnM Talkies
Saal beetne ke sath, Mila hai purana sath… Hui pehli si mulaaqaat, Dila raha uss waqt ki yaad... Suniye Phir teri Kahaani mein aaj, 'New year, Old Love'द्वारा MnM Talkies
MnM Talkies ki puri team ke taraf se aap sabhi ko Merrrryyyyy Christmasssss… Ek Family ke Secret Santa ko kisne secretly aisa gift diya, jiska intezar unhe aur unki wife Fiona ko pichhale 50 salon se tha, suniye Kahaniyon Ka Mantra ke 50th special episode Secret Santa mein.द्वारा MnM Talkies
Zindagi ne liya hai aaj, phir wahi mod... kheech laayi hai hume, purane pyar ki oor... Suniye Phir Teri Kahaani mein aaj, 'Waqt Ki Dor'.द्वारा MnM Talkies
Kehte hai ki every invention has its own advantage and disadvantage magar humare Bhola ko Bijli ke invention me sirf advantage hi dikhai deta hai aur isi bat par ho gayi hai bap bete me tikhi an-ban, suniye Kahaniyon Ka Mantra me " Bijli Ka Bill "द्वारा MnM Talkies
Kapil aur Sudha, Jinka ek hona shayad kismat ko manzoor nahi tha Magar inka aaj iss mod pe milna shayad pehle se hi tay tha ... Suniye, jab mile Kapil - Sudha jo mil ke phir hue Juda Magar is mulaqat mein Kapil ko mili sudha ki nishani aur yaad aa rahi hai Phir Teri Kahani !द्वारा MnM Talkies
Bunty ki mummy ka ho gaya hai ro ro ke bura haal kyuki maid ne maar li hai bina bataye, lambi chhutti kya bunty ke pass hai iska koi solution janane ke liye Kahaniyon Ka Mantra me suniye " Maid Ki Chhutti "द्वारा MnM Talkies
Kaha jata hai ke ek acche doctor ko kabhi apne patient se zada friendly nahi hona chahiye, but kya ho jab Patient ka ilaj karte karte Doctor hi Mareez-e-Ishq banjaye, aur kya ho jo wo ishq adhura hi reh jaye.. 8 Saal baad Mayank aur Anvita ki mulaqat kya rang lati hai jaane ke liye suniye “Dobara”.द्वारा MnM Talkies
Kehte hai ki dane dane par likha hai khane wale ka naam waise hi lottery lottery par bhi likha hota hai pane wale kaa naam dhaniraj ko mili hai 2 crore ki lottery dekhna hai ki ye lottery ki ticket unke jiwan me khusiya lati hai ya fir koi musibat janne ke liye kahaniyon ka mantra me suniye lag gayi lottery.…
Jab zindagi mein dard to ho magar humdard na ho, to usi dard ke sath jeene ki aadat pad hi jaati hai. Saalon pehle alag hue Rishi aur Swati aaj ek bar phir mile hain Ek dusre ka Humdard banne ko hongi wo baatein puraani, aur yaad aegi... Phir Teri Kahani!द्वारा MnM Talkies
Kehte hai manzil chahe kitni bhi dur ho safar khubsurat hona chahiye! Bhopal me rehne wale Kewal ko karni hai apni zindagi ki pehli hawai yatra. Kaise Kewal ki journey banti hai happy journey ye janane ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra me... HAWAI YATRA!द्वारा MnM Talkies
Kise pata kab hume humara past, Hume humare present mein akar mil jaye, Magar Phir bhi humare kal ki Humare aaj se hui ye mulaqaat, aane wala kal badle na badle... Chehre par ek Muskaan zaroor chhod kar jata hai. Suniye Phir Teri kahani mein aaj "Parent Teacher Meeting".द्वारा MnM Talkies
Business karna toh sabhi chahte hain, magar bussiness mein tike rehna hai bahut hi mushkil! Aur isi mushkil ko asaan karne ka tareeka dhoonda hai Ankit ne... Toh suniye kaise kamyab hoga apne plan mein Ankit, Kahaniyon ka mantra mein... Kyuki ho raha hai Khane ka competition!द्वारा MnM Talkies
Pyar karna aur pyar ko pana dono alag alag baatein hain. Jab pyar hota hai na toh kitna bhi pyar mile lagta hai ye bhi Poora hi nahi, Aur jab yahi pyar zindagi se alag ho jaaye toh lagta hai ki bas theek hai..."Adhoora hi Sahi" Suniye Phir Teri Kahaniद्वारा MnM Talkies
Koi umr baras me kaid nahi hai Ek man sachha rahne do yaar Hothon par muskan sajao Aur dil bachha rehne do yaar Happy children's day kahaniyon ka mantra me suniye Dil bachha haiद्वारा MnM Talkies
Jawaan umra mein hui qismat ki aazmaish, toote the sapne aur hui pyar ki numaish mile hain aaj phir wo do dil... ho rahi hai ehsaaso ki azmayish yaad aa rahi hai 'Phir Teri Kahaani', aur ho rahi hai "Dard ki Gunjaish"द्वारा MnM Talkies
Kehte hai jhhoot ke hazaron pardon ke pichhe sach ko chhupaya to jaa sakta hai lekin badla nahi jaa sakta Bhola aur Dhaniram ke rishte ke bich sach tha ya jhoot janane ke liye suniye kahaniyon ka mantra me.. " Jhootha Sach "द्वारा MnM Talkies
Har koi pyar ka swad le paaye, Ye kala seekhna bhi ek kala hai Kisi ko pyar meetha sa lagti hai Kisi ko khatti sa Lekin iss pyar ka swad na jaane kitno ko mila hai “Teekhi Chutney” sa, Suniye Phir Teri Kahani “Teekhi Chutney”द्वारा MnM Talkies
Kabhi Dost, Kabhi Bhai , to Kabhi aapka Chaddi buddy, pata nahi kaun, kahan, kab ban jaye apke kebab mein haddi..!! Jassi aur Lakshita ki pehli date pe kebab mein haddi bana Bannu kya kya gul khilata hai janne ke liye suniye "Kebab Mein Haddi"द्वारा MnM Talkies
Kehte hain zindagi har baar mod leti hai Koi aisa shakhs apko fir mil jata hai Jisse aap kisi mod pe chhod ke aage badh aaye the, Aaj ki kahani paritosh aur Savita ki Jinke raste aur safar to alag hain magar “Yaadon ka Ticket” liye dono train pe sawaar aur mod leti hui zindagi aaj unhe phir mila rahi hai.. Suniye Phir Teri Kahani…
Diwali hai to Safai bhi hogi, aur safai hogi to dhulayi bhi hogi... agar aapne safai mein hath nahi bantaaya toh ! Aaj ghar ki safai karte karte suniye Kahaniyon Ka Mantra mein aaj ki ye pyaari si, ghareloo kism ki ekdam saaf suthri kahani, 'Diwali ki Safai'. MnM Talkies wishes you a very Happy Diwali!…
Pyaar, ye jitna khoobsoorat ehsaas hai na, utna hi besabra Imtehaan bhi. Aur isliye MNM talkies apke liye lekar aya hai Pyar ki aisi hi ankahi daastaan! Diwali ki shubh ghadi pe shuruat karte hain aisi hi ek kahani se Jo apke dil ko kar degi “Roshan” Suniye Phir Teri Kahani !द्वारा MnM Talkies
P
Phir Teri Kahani - A Love Story Podcast


1
Introducing Phir Teri Kahani: A Love Story Podcast
2:36
2:36
बाद में चलाएं
बाद में चलाएं
सूचियाँ
पसंद
पसंद
2:36
online-audio-converter.comद्वारा MnM Talkies
Subah Subah tu jab bhi naukari ke liye ghar se nikal jata hai, bas usi daud bhaag ke beech kahi kisi raste pe... Roz roz ye khayal aata hai.. Ki bas ab bohot ho gaya iss baar, Apna start up shuru karna hai yaar !! Kahaniyon ka Mantra mein suniye aaj ki ye kahani START UP !!द्वारा MnM Talkies
Kehte hain ki kabhi kabhi aaine se hume khud ki pehchan puchh leni chahiye, Warna kai baar hum apni haqiqat se anjaan reh jaate hain... Aise hi pulkit bhi khud se anjaan tha... tab tak jab tak uski mulaqat Varun se nahi hui thi.. Yeh Pulkit aur Varun ki mulaqat kya gul khilati hai janne ke liye suniye "WHO AM I?"…
Kehte hai ki jab Ram milaye jodi toh kya andha kya kodi , aur agar life me koi humsafar ho to problem ka pata hi nahi chalta... Shaadi ke baad Husadiyapur ke baiju jinko neend mein chalne ki bimari hai, usey apni iss problem ka solution milta hai ya nahi ye janane ke liye suniye 'Shaadi Hi Solution'!…
Kehte hain ke pyaar Kab, kisey, kahan, kisse ho jaye kuch kaha nahi ja sakta, aise hi kuch Ankur ke sath bhi hua jb wo sneha se mila mgr kya unka pyaar parwaan chad paya ye jaane ke liye suniye "Jab Ankur Met Sneha"द्वारा MnM Talkies
Bhaiyya kya ho jab ek accha bhala nek aur imaandar bijli vibhag karamchari naukri chod ke bijli ki dukan khol le, soch ke bhi dar lagta hai... haina? Aisa hi kuch karnama kiye baithe hain Ganga Saran ji. Aaiye sunte hain unki imaandari ka qissa.द्वारा MnM Talkies
Eating bhi ek emotion hai, Khana peena hamare culture ka aur aam zindagi ka ek ahem hissa hai, magar hum manushyon mein hi ek prajaati aisi bhi hoti hai jo sirf khane ke liye hi paida hoti hai, Issi prajaati ke ek khaas namoone hain hamare Chacha Chatore! Toh chaliye sunte hain chacha ke chatore pan ke qisse.…
Hum sab ki zindagi mein koi na koi ek guru toh aisa zaroor hota hai, jo hame sirf padhna nahin balke sahi raaste par aagey badhna bhi sikhata hai. Bilkul waise hi jaise Jeetu ko Sarita Ma'am ne sikhaya hamari kahani, 'Teacher's Day' mein!द्वारा MnM Talkies
Jab ham bacche the to nani maa hame ganpati bappa ki boht si kahaniyan sunati, unhi mai se ek kahani hai bappa ki gajanand banne ki kahani, aaiye is kahani ke zariye aapko le ke chalte hain "Ganpati Visarjan Yatra" main.द्वारा MnM Talkies
Har cheez ka ek daur aata hai, aisa hi ek waqt tha jab purane wooden shutter wale black & white TV ki badi izzat hoti thi... Aise hi TV ke ek diwane thy Ghorpode ji. Unka purana TV kharab hua toh unse raha nahi gaya or naya TV lene ka mission bana. Kya woh iss mission ko pass kar payenge? Janne ke liye suniye "Mission Naya TV!"…
Netaon or Chatr Netaon ke bhashan toh aapne har gali chauk chaurahon Collegeon or nukkadon pe bohot suney honge, magar Svatantrata Divas pe kabhi koi Bhashan sunna naseeb hua? Nahi? Toh aiye sunte hain "Azadi Ka Bhashan."द्वारा MnM Talkies
Bachpan, hamari zindgi ki ek shuruwat, or uss shuruwat ka ek khoobsoorat hissa, Bachpan ki wo pehli masoom mohabbat, ham sab kitna bhi chupa lein but wo ek attraction ham sabko kisi na kisi se ho jata hai, hamara first crush, hamari English ki teacher, hamre pt wale sir, hamara pehla “Atrangi Ishq.”द्वारा MnM Talkies
Ishq ne galib nikkamma kar diya warna ham bhi admi thy kaam ke...To chacha galib ki is seekh ko hamari Gen Z boht zada follow karti hai, shayad isi liye social media pe aaj kal aise kai khat-o-kitabat ka silsila jari hai. Ye virtual world wala pyar kab real world mai apni jagah pakki kar leta hai pata hi nahi chalta... Yehi soch ke hamare pyare mon…
Jugad to kai tarah ke hote hain.. bijli ka bill dene ka paisa na ho to katiya wala jugad, School na jane ka man ho to pait dard wala jugad, Papa ki maar se bachne ke liye sone ki acting wala jugad. Magar kuch log apne har kaam ko jugad se hi karna chahte hain.... Aise hi hain hamare pyare Nandu bhaiya, jinki zindagi ka ek hi maqsad hai.... Araam se…
Baba Ranchhod daas ne kaha tha... ki beta khana khaane ke liye paise nahi lagte, lagti hai to bas sahi timing ke sath sahi uniform! Aaj ki kahani bhi aise hi 3 hostellers ki hai jinhe achhe khaane ka swaad lene ke liye baraati banna pada hai... Bin Bulaaye Baraati !द्वारा MnM Talkies
Diwali ho to mithayi ki... Holi ho to Rango ki aur Rakshabandhan ho toh rakhi ki demand badh hi jaati hai... Magar Eid ka Mubarak mauka ho to demand badh jaati hai Tailor ki... arey Mohalle ke Tailor !! Aur Bakr-Eid ke isi mubarak mauke par... Kahaniyon ka Mantra mein aaj suniye kahani tailor Wajid Miyaan ki!…
Kya hai ki bhagwan bimar logo ki madad karne ke liye poori duniya mein ek sath available nahi ho sakte the... isliye dharte pe bhagwan ke hi roop mein maujood hote hain humare DOCTORS. Aur beete National Doctors Day ke liye hum aaj lekar aaye hain aapke liye ek aisi DIL KI DOCTOR ki kahaani... Kahaniyon ka Mantra mein !!…
Ghar waale kehte hain ki umar nikal gayi to shaadi hone mein dikkat hoti hai... Jigar ke ghar wale bhi aise hi hain. Jinhe chinta Jigar ki badhti umra ke sath sath Jigar ko na milne waali naukri ki bhi hai... Upar se Jigar ke sir ke girte baal !! Kya badlegi Jigar ki kismat .. Kya kabhi kha paega jigar Shadi ka Laddoo !?…
Kandhon pe Zimmedariyan, fir bhi chehre par muskaan hoti hai.. Kaam ka pressure ho fir bhi na koi thakaan hoti hai... bas aise hi toh hote hain humare Not So Cool Papa !!द्वारा MnM Talkies
Life ki dhun par sirf chalna nahi boss.. Life ki dhun par Dance karne waalo ko hi milta hai Second Chance. Ye Second chance life mein har kisi ka darwaza khatkhata hai.. Jaise Swati ko mila uski life mein Second chance ke roop mein... Kunal.द्वारा MnM Talkies