Passe सार्वजनिक
[search 0]
अधिक

Download the App!

show episodes
 
K
Kahaniyon ka Mantra

1
Kahaniyon ka Mantra

MnM Talkies

Unsubscribe
Unsubscribe
साप्ताहिक
 
Kahaniyon Ka Mantra, humare aur aapke zindagi ke panno ke, kuch aisi kahaniyan, jo aapke dilon ko choo jaaye, aapke chehre pe muskaan laaye, jo aapko hasaaye bhi aur rulaye bhi...jo aapko aapke kal, aaj aur kal se milaye bhi. Baniye in kahaniyon ka hissa Mantra ke mantramugdh karne wali awaaz ke saath. Awaaz ka yeh jaadugar aapko lekar jaayega kahaniyon ki aisi duniya mein jahan aap kho jayenge. Toh tayyar ho jaiye kahaniyon ka hissa banne ke liye. Ek MnM Original, 'Kahaniyon Ka Mantra'. Mil ...
 
Loading …
show series
 
Jo hote hain exams mein fail, kya wo life mein bhi fail ho jate hain? Aur jo class mein top karte hain, kya iss baat ki koi gurantee hai ki wo life mein bhi bahut successful hi hote hain? Agar aap bhi janna chahte hain iss mushkil sawal ka jawab toh suniye Kahaniyon Ka Mantra ki yeh kahani – Pass Ya Fail?…
 
Teen mastaane chale number zyada paane.... Cheating karke marks zyada laane. Ab kya nakal mein lagegi inki akal ya phir ek jhatke se aayenge in cheaters ke hosh thikaane? Jaan'ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki brand new kahaani- Smart Cheaters.द्वारा MnM Talkies
 
Backbencher hona vaise toh cool lagta hai par exam ke time Backbencher ko sabse bada fool maana jaata hai. Toh is exam season mein humaare ek backbencher ne thaan liya hai ki woh topper bankar khilayega phool ...par ho jaati hai ussey ek chhoti si bhool. Kaun si? Jaan'ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra ki is hafte ki kahani - Backbencher Bana To…
 
Holi aane wali hai, magar Holi ke sath aa rahe hain Exams. Kamlesh khelna toh chahta hai holi hostel ke sabhi dosto ke sath, magar agle din hai uska final exam. Ab kya karega Kamlesh? Janne ke liye suniye Kahaniyon ka Mantra ki ye kahani - Holi Vs. Exam.द्वारा MnM Talkies
 
Vo meme toh dekha hi hoga aap sabhi ne “bhai main toh tut gaya” thik usi tarah tut gaya hamara Sunny jab usko pata chala ki uski crush Surbhi ka bhi koi crush hai. Kya Surbhi Sunny ki kabhi ho payegi ya Sunny ka pyar khud ho jayega crush? Jaan’ne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra mein nayi kahani - Crush ka Crush.…
 
Kisine sahi kaha hai ki ishq me har insaan apni limit push karta hai- ab chahe vo college wala ishq ho ya phir office wala, chahe woh shehar wala ishq ho ya phir gaon wala. Is hafte, Kahaniyon Ka Mantra mein suniye Rajesh Chaurashiya urf Gobar Chaurasiya aur unki patni ki love story, straight from their gaaon!…
 
Mohit bhaiya apni Priya ke sath manana chahate hai valentine week, par iss Premi jode par nazar hai pure mohalle ki. akhir kaisa mohalle walon se nazren bachakar Mohit Valentine week manata hai, Janne ke liye suniye Mohalle Wala Valentine`s Dayद्वारा MnM Talkies
 
Dekho bhaisahab insaan ko jitna bhi mil jaye utna kam lagta hai Chahe vo duniya ka sabse ameer admi hi kyu na ho par ek chhoti si chahat hai Monu ki- usse apne birthday gift me chahiye foreign trip. Kya Monu ko mil payega ye gift ya fir monu ko cake katke hi kaam chalana hoga Jaanane ke suniye Kahaniyon Ka Mantra ki aaj ki kahani: फॉरन Jana Hai…
 
26 January ko asman me lahrata tiranga dekhna, chorus me National anthem gana aur swadisht special laddu khana… kya moment hota hai na ! Par yaha Munna aur Dadu ke nazar me laddu ko lekar kya alag nazariye hai, janane ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra me Laddoo Aaj Kalद्वारा MnM Talkies
 
Kehte hai ki jo bhi hum sal ke pahle din karte hai wahi poore sal karte hai. Apne purane dost happy ko new year resolution ki kasam dilane me lage Lucky bhaiya aakhir kaun sa resolution dilate hai jaanne ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra mein What's Your Resolution.द्वारा MnM Talkies
 
MnM Talkies ki puri team ke taraf se aap sabhi ko Merrrryyyyy Christmasssss… Ek Family ke Secret Santa ko kisne secretly aisa gift diya, jiska intezar unhe aur unki wife Fiona ko pichhale 50 salon se tha, suniye Kahaniyon Ka Mantra ke 50th special episode Secret Santa mein.द्वारा MnM Talkies
 
Kehte hai ki every invention has its own advantage and disadvantage magar humare Bhola ko Bijli ke invention me sirf advantage hi dikhai deta hai aur isi bat par ho gayi hai bap bete me tikhi an-ban, suniye Kahaniyon Ka Mantra me " Bijli Ka Bill "द्वारा MnM Talkies
 
Kehte hai ki dane dane par likha hai khane wale ka naam waise hi lottery lottery par bhi likha hota hai pane wale kaa naam dhaniraj ko mili hai 2 crore ki lottery dekhna hai ki ye lottery ki ticket unke jiwan me khusiya lati hai ya fir koi musibat janne ke liye kahaniyon ka mantra me suniye lag gayi lottery.…
 
Kehte hai manzil chahe kitni bhi dur ho safar khubsurat hona chahiye! Bhopal me rehne wale Kewal ko karni hai apni zindagi ki pehli hawai yatra. Kaise Kewal ki journey banti hai happy journey ye janane ke liye suniye Kahaniyon Ka Mantra me... HAWAI YATRA!द्वारा MnM Talkies
 
Business karna toh sabhi chahte hain, magar bussiness mein tike rehna hai bahut hi mushkil! Aur isi mushkil ko asaan karne ka tareeka dhoonda hai Ankit ne... Toh suniye kaise kamyab hoga apne plan mein Ankit, Kahaniyon ka mantra mein... Kyuki ho raha hai Khane ka competition!द्वारा MnM Talkies
 
Kabhi Dost, Kabhi Bhai , to Kabhi aapka Chaddi buddy, pata nahi kaun, kahan, kab ban jaye apke kebab mein haddi..!! Jassi aur Lakshita ki pehli date pe kebab mein haddi bana Bannu kya kya gul khilata hai janne ke liye suniye "Kebab Mein Haddi"द्वारा MnM Talkies
 
Diwali hai to Safai bhi hogi, aur safai hogi to dhulayi bhi hogi... agar aapne safai mein hath nahi bantaaya toh ! Aaj ghar ki safai karte karte suniye Kahaniyon Ka Mantra mein aaj ki ye pyaari si, ghareloo kism ki ekdam saaf suthri kahani, 'Diwali ki Safai'. MnM Talkies wishes you a very Happy Diwali!…
 
Subah Subah tu jab bhi naukari ke liye ghar se nikal jata hai, bas usi daud bhaag ke beech kahi kisi raste pe... Roz roz ye khayal aata hai.. Ki bas ab bohot ho gaya iss baar, Apna start up shuru karna hai yaar !! Kahaniyon ka Mantra mein suniye aaj ki ye kahani START UP !!द्वारा MnM Talkies
 
Kehte hain ki kabhi kabhi aaine se hume khud ki pehchan puchh leni chahiye, Warna kai baar hum apni haqiqat se anjaan reh jaate hain... Aise hi pulkit bhi khud se anjaan tha... tab tak jab tak uski mulaqat Varun se nahi hui thi.. Yeh Pulkit aur Varun ki mulaqat kya gul khilati hai janne ke liye suniye "WHO AM I?"…
 
Kehte hai ki jab Ram milaye jodi toh kya andha kya kodi , aur agar life me koi humsafar ho to problem ka pata hi nahi chalta... Shaadi ke baad Husadiyapur ke baiju jinko neend mein chalne ki bimari hai, usey apni iss problem ka solution milta hai ya nahi ye janane ke liye suniye 'Shaadi Hi Solution'!…
 
Bhaiyya kya ho jab ek accha bhala nek aur imaandar bijli vibhag karamchari naukri chod ke bijli ki dukan khol le, soch ke bhi dar lagta hai... haina? Aisa hi kuch karnama kiye baithe hain Ganga Saran ji. Aaiye sunte hain unki imaandari ka qissa.द्वारा MnM Talkies
 
Eating bhi ek emotion hai, Khana peena hamare culture ka aur aam zindagi ka ek ahem hissa hai, magar hum manushyon mein hi ek prajaati aisi bhi hoti hai jo sirf khane ke liye hi paida hoti hai, Issi prajaati ke ek khaas namoone hain hamare Chacha Chatore! Toh chaliye sunte hain chacha ke chatore pan ke qisse.…
 
Hum sab ki zindagi mein koi na koi ek guru toh aisa zaroor hota hai, jo hame sirf padhna nahin balke sahi raaste par aagey badhna bhi sikhata hai. Bilkul waise hi jaise Jeetu ko Sarita Ma'am ne sikhaya hamari kahani, 'Teacher's Day' mein!द्वारा MnM Talkies
 
Har cheez ka ek daur aata hai, aisa hi ek waqt tha jab purane wooden shutter wale black & white TV ki badi izzat hoti thi... Aise hi TV ke ek diwane thy Ghorpode ji. Unka purana TV kharab hua toh unse raha nahi gaya or naya TV lene ka mission bana. Kya woh iss mission ko pass kar payenge? Janne ke liye suniye "Mission Naya TV!"…
 
Bachpan, hamari zindgi ki ek shuruwat, or uss shuruwat ka ek khoobsoorat hissa, Bachpan ki wo pehli masoom mohabbat, ham sab kitna bhi chupa lein but wo ek attraction ham sabko kisi na kisi se ho jata hai, hamara first crush, hamari English ki teacher, hamre pt wale sir, hamara pehla “Atrangi Ishq.”द्वारा MnM Talkies
 
Ishq ne galib nikkamma kar diya warna ham bhi admi thy kaam ke...To chacha galib ki is seekh ko hamari Gen Z boht zada follow karti hai, shayad isi liye social media pe aaj kal aise kai khat-o-kitabat ka silsila jari hai. Ye virtual world wala pyar kab real world mai apni jagah pakki kar leta hai pata hi nahi chalta... Yehi soch ke hamare pyare mon…
 
Jugad to kai tarah ke hote hain.. bijli ka bill dene ka paisa na ho to katiya wala jugad, School na jane ka man ho to pait dard wala jugad, Papa ki maar se bachne ke liye sone ki acting wala jugad. Magar kuch log apne har kaam ko jugad se hi karna chahte hain.... Aise hi hain hamare pyare Nandu bhaiya, jinki zindagi ka ek hi maqsad hai.... Araam se…
 
Baba Ranchhod daas ne kaha tha... ki beta khana khaane ke liye paise nahi lagte, lagti hai to bas sahi timing ke sath sahi uniform! Aaj ki kahani bhi aise hi 3 hostellers ki hai jinhe achhe khaane ka swaad lene ke liye baraati banna pada hai... Bin Bulaaye Baraati !द्वारा MnM Talkies
 
Diwali ho to mithayi ki... Holi ho to Rango ki aur Rakshabandhan ho toh rakhi ki demand badh hi jaati hai... Magar Eid ka Mubarak mauka ho to demand badh jaati hai Tailor ki... arey Mohalle ke Tailor !! Aur Bakr-Eid ke isi mubarak mauke par... Kahaniyon ka Mantra mein aaj suniye kahani tailor Wajid Miyaan ki!…
 
Kya hai ki bhagwan bimar logo ki madad karne ke liye poori duniya mein ek sath available nahi ho sakte the... isliye dharte pe bhagwan ke hi roop mein maujood hote hain humare DOCTORS. Aur beete National Doctors Day ke liye hum aaj lekar aaye hain aapke liye ek aisi DIL KI DOCTOR ki kahaani... Kahaniyon ka Mantra mein !!…
 
Ghar waale kehte hain ki umar nikal gayi to shaadi hone mein dikkat hoti hai... Jigar ke ghar wale bhi aise hi hain. Jinhe chinta Jigar ki badhti umra ke sath sath Jigar ko na milne waali naukri ki bhi hai... Upar se Jigar ke sir ke girte baal !! Kya badlegi Jigar ki kismat .. Kya kabhi kha paega jigar Shadi ka Laddoo !?…
 
Life ki dhun par sirf chalna nahi boss.. Life ki dhun par Dance karne waalo ko hi milta hai Second Chance. Ye Second chance life mein har kisi ka darwaza khatkhata hai.. Jaise Swati ko mila uski life mein Second chance ke roop mein... Kunal.द्वारा MnM Talkies
 
Ek Kadwi magar sachchi baat hai ye ki jinhe sachcha pyar Naseeb nahi hota.. unhe dusro ko pyar ki gehrayiyon par gyan khoob dena ata hai... humare to friend circle mein bhi aise Love Guru bahut saare hain jo khud to single hain magar kisi ko Love Problen sujhani ho to bade gyani bante hain.. Bas Aise hi hain Humare Chintu Bhaiya.. Jinki Love status…
 
Kya hai ki kisi ladki ke dil ki baat samjh pana, har ladke ke bas ki baat to bilkul nahi hai magar kabhi kabhi aisa bhi hota hai.. ki ladka poori samjhdari se kisi ladki na sirf samjhta hai balki use pana bhi chahta... Use theek se ladki bhi samjh nahi pati.. Bas aaj ki kahani bhi kuch aisi hi hai.. Arrange marriage kar chuke ya karne wale log asaa…
 
Physics aur Chemistry badi bewafa.. raat bhar rato... Subah Safaa! Physics-Chemistry jaise bhari bharkam subjects ke sath agar aapne ishq ka subject bhi choose kar liya na ... Toh result aane par apke jeevan ke saath apki chemistry pe concentrated H2SO4 ka Chhalaa pad sakta hai.. Shayad Amir Khan ko jaldi samjh agaya tha, Isliye unhone graduate hon…
 
Digital yug hai bhai, ab log ye nahi kehte ki bas ek baar.. bas ek baar UPSC clear ho jaaye. Balki kehte hain bas ek bar mera video viral ho jaaye! Aiye sunte hain Kahaniyon Ka Mantra mein Raju ki kahaani jinka bhi yahi sapna hai ki bas ek baar VIRAL HONA HAI YAAR!"द्वारा MnM Talkies
 
Maa ho, Mumma ho ya ho Mother; Mother's Day to saal mein ek hi baar aata hai.. Magar maa ki mamta aur unka pyar, har din apke liye hi hota hai. Magar Maa ke liye...Ye ek din bhi kyu manaya jata hai .. aiye jaante hain ek Maa ki kahani sunte hue, Kahaniyo ka Mantra mein!द्वारा MnM Talkies
 
Naseeb waale hain hai wo jinhe pyaar hua, aur khushnaseeb hain wo jinki shaadi ya nikaah bhi hua. Magar jinke satha aisa kuch bhi nahi hua.. To aakhir unki dillagi ka kya hua? Suniye Sundar aur Haseen ki Mohabbat ki Sundar aur haseen si kahani ... Zanana Parkद्वारा MnM Talkies
 
Dhandhe ke usool yun to tode nahi jaate. Magar baat jaan bachaane ko ho, Mazhabi kadwaahaton ko Muft ki Jalebi se mitaane ki ho ! to usool nahi balki.. rasool ke bataye raste pe chalna hi munaasib hota hai. Suniye aaj ki Kahani Muft ki Jalebi.द्वारा MnM Talkies
 
Haan ji maana ki hote honge gym freak, fitness enthusiast ya fir workout persons... Covid ke aane ke baad se to logo ko apni sehat aur shareer ki imunity ki aur bhi zyada fikar hone lagi hai. Magar kuch logo ke gharon mein ab bhi aisa kuch nahi hai, unhe zara bhi chinta nahi hai kyunki unhe pata hai ki unke shareer mein Antibody banaane ka ek aur z…
 
Loading …

त्वरित संदर्भ मार्गदर्शिका